aashiqon ke gaon mein yun ghar aur bhi the
kyun aapne is chaukhat par dastak di!!
kyun aapne is chaukhat par dastak di!!
Dastak de kar yadi yun hi jana tha
to kyun apne ghar ane ki zehmat ki!
jane k baad apke hum wahin khade rahe
the soch mein pad gaye ki kaun aya tha
na koi naam tha n koi nishaan tha
par jab mude hum apne ghar jane k vaaste
wo itra ki mehak ,ka kuch aur fasana tha
jaankar bhi anjaan bane rahe ki ye ho nahin sakta
sapna hai ye khoobsurat , ye sach ho nahin sakta