Wednesday, March 13, 2013

Alfaaz k jharokhon se

Mausam hai shayarana,  Ye sama b kitna ajeeb hai
Tujhe karta yaad hardam,  ye dil azeez hai

Jahan jaaon mein,  wahan parchayi roop mein aa jati hai tu
Kya bataoon kitna mujhe satati  hai tu
Teri har baat , hamari pehli mulaqat nahin bhoola hun mein
Har baat lahu bankar mujh mein  samayi hai tu

Aaj guzra tha mein us maikhane se
Jahan hoti thi ronak tere aane se
Ab bas ek wo khandar sa lagta hai
Bin tere ab har khwaab adhoora sa lagta hai

Meelon ka safar ab tay hum akele karte hain
The jo hum humsafar,  ab kyun tjhe ajnabi se lagte hain

Ban kar ajnabi jo tum door hue hamse
Khushiyon ne jaise tod diya ho naata humse
Honthon par hansi liye baitha hun mein, har pal mein saw martaba maut se mila hun main

Din guzra, raat aayi.. Meri tanhayi ko  aaj naa phir neend aayi
Koshish mein lag jaaten hain jab ye maikhane ka jaam
Aankhen band kar leta hun lekar tera naam

Aankh jo band hui to phir khul jayegi
Mujh ko tadpa k na tujhe neend aayegi

Ruh hai tu meri,  tu meri taqdeer hai

Mausam hai shayarana,  Ye sama b kitna ajeeb hai
Tujhe karta yaad hardam,  ye dil azeez hai