Monday, April 1, 2013

Jab shayari bol padi

Aap sabhi ko holi mubarak. Ye baat hai beete shanivaar ki. Hum apne shehar lucknow mein, araam farma rahe the. Socha ki kch likha jaye.. Par isse pehle ki hum kuch likhte.. Meri shayri ne ek khoobsurat apsara ka roop le liya aur bhari hui aankhon se bol padi yeTum band karo ye shayri ka aalam
Bahut hua ab bardasht nahin
Malham wo nahin lagata
Dard ka jisko ehsaas nahin

Laakh keh lo tum dunia se ki ye to mera andaaz hai
Par humse nahin chupa paoge tumhare har alfaaz mein koi raaz hai

Tumhari shayri tadap kisi ko bechain hamen karti hai
Jaane aaj kya baat hui , tu yun hi nahin aisa likhta\ likhti hai

Teri tadap,  sanam tera,  kya kabhi mehsoos kar payega
Kadr nahin jise tere shabdon ki,  kya khaamoshi kabhi samajh paayega

Usse achi to mein bhali jo dard tera samjhti hun
Kehna chahta hai jo tu. , alfaazon mein bayan karti hun

Marr bhi jaye jo tu aaj, ek aansun na usko aayega
Peecha choota us deewane se,  ye geet wo har pal gungunaayega

Ho gaya tujhe agar kuch to rona mjhko aayega
Kon baantega apna dard , kon sang mere khilkhilayega

Tum na jana mere shayar,  mein tujhse hi to aayi hun
Soch teri, alfaaz mere,
Mein teri hi parchai hun

Ye keh k wo ro padi.  Aur hui meri bhi aankhen nam
Aaj pehli baar baanta tha meri shayri ne apna gam

Aansun ponch kar phir wo boli naam tumhara Pal-luv hai
Par sach batana kya  mohabbat karne ka yahi sabab hai

Ki jisko chaha sacche mann se,  wo to khushi mein rahe hain jhoom
Reh gaya hum adhoore , ho gaye unki yaad mein sunn

Jawab deta mein kya uske sawal ka , jiska jawab mein raha tha dhoond
Rakha kalam, maare kash , pee gaya  jaam ki aakhri boond

Chadha nasha jo aankhon par , saamne phir wo aa gayi
Lekar khanjar,  cheera mujhko
Muskarakar phir aane ko wada kar gayi....

No comments:

Post a Comment